Jivit Shradhanjali

Meri moma Maya Sarabhai, yaani ishwar ki di hui badhaai
Ishwar ki samjhaai hui sachaai, ki duniya maaya se hi bani banaai
Sab kuch hai maaya, yeh sofa yeh kaaya
Ishwar ne table-cloth bhi hai maaya se banaaya 
 Rista bhi maaya, raasta bhi maaya, lunch dinner aur breakfast bhi maaya 
Maya to sophistication ka pratik hai, thodi contemporary thodi antique hai
Maya to hai mamta ka chhaya, sara pyaar aata always via maaya
Maaya hai jeevan ki preyasi, Maya hai jaise dining table ki kursi
Maaya hi dudh, Maya hi lassi, phir kaise kahu ki maaya chal basi?